Jis Aur Nazar Ferun Dadi Chahun Aur Nazara Tera Hai (जिस ओर नजर फेरूं दादी, चहुँ ओर नजारा तेरा है - भजन)


Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai,
Satiyon Mein Tu Siramaur Hai Maa,
Sancha Ye Dwar Tera Hai,
Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai ॥
Tu Meri Hai Main Tera Hun,
Tu Chanda Hai Main Chakori Hun,
Tere Hote Hi Roshan Dadi,
Kismat Ka Sitara Mera Hai,
Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai ॥

Main Tera Dhyan Lagati Hun,
Maa Paas Tujhe Mein Pati Hun,
Duniya Ki Na Darkar Mujhe,
Bas Ek Sahara Tera Hai,
Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai ॥

Tu Haath Pakad Ke Chalti Hai,
Tujh Se Meri Hasti Hai,
Naiya Ki Khevanahar Tu Hi,
Tu Hi To Kinara Mera Hai,
Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai ॥

Meri Dor Tumhare Haatho Mein,
‘Swati’ Ki Basi Ho Saanso Mein,
Kahe ‘Harsh’ Wahi Mud Jati Hun,
Jise Jagat Ishara Tera Hai,
Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai ॥

Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai,
Satiyon Mein Tu Siramaur Hai Maa,
Sancha Ye Dwar Tera Hai,
Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai ॥
जिस ओर नजर फेरूं दादी, चहुँ ओर नजारा तेरा है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जिस ओर नजर फेरूं दादी, चहुँ ओर नजारा तेरा है, सतियों में तू सिरमौर है माँ, साँचा ये द्वारा तेरा है, जिस ओर नजर फेरूँ दादी, चहुँ ओर नजारा तेरा है ॥
Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mahakal Ki Gulami Mere Kam Aarhi Hai

Mahakal Ki Gulami, Mere Kaam Aa Rahi Hai, Unki Hi Kripa Se Ekdam Mast Zindagi Hai

Choti Si Meri Parvati Shankar Ki Puja Karti Thi

Chhoti Si Meri Parvati, Shankar Ki Pooja Karti Thi, Nirjal Rahakar Nishchhal Man Se, Nit Dhyan Prabhu Ka Dharti Thi..

Hum To Tere Darbar Ke Darbari Ho Gaye

Hum To Tere Darbar Ke Darbari Ho Gaye, Bhole Tere Naam Ke Pujari Ho Gaye ॥

Mahakal Meri Manzil Ujjain Hai Thikana

Mahakal Meri Manjil, Ujjain Hai Thikana, Main Gulam Hun Bhole Ka, Mere Saath hai Jamana, Mahakal Meri Manjil, Ujjain Hai Thikana ॥

Mahakal Ki Sharan Mein

Sabako Mila Shahara, Mahakal Ki Sharan Mein, Hai Kaal Bhi To Hara, Mahakal Ki Sharan Mein,
Sabako Mila Shahara, Mahakal Ki Sharan Mein ॥