Maili Chadar Odh Ke Kaise (मैली चादर ओढ़ के कैसे - भजन)


Maili Chadar Odh Ke Kaise,
Dwar Tumhare Aaoon,
Hai Pavan Parmeshwar Mere,
Man Hi Man Sharmaun ।
॥ Maili Chadar Odh Ke.. ॥
Tune Mujhko Jag Mein Bheja,
Nirmal Dekar Kaya,
Akar Ke Sansar Mein Mainne,
Isko Daag Lagaya ।
Janam Janam Ki Maili Chadar,
Kaise Daag Chhudaun,
॥ Maili Chadar Odh Ke.. ॥

Nirmal Vani Pakar Tujhse,
Naam Na Tera Gaya,
Nain Mundkar He Parameshvar,
Kabhi Na Tujhko Dhyaya ।
Mann-vina Ki Tare Tuti,
Ab Kya Rag Sunaun,
॥ Maili Chadar Odh Ke.. ॥

In Pairon Se Chalkar Tere,
Mandir Kabhi Na Aya,
Jahan Jahan Ho Puja Teri,
Kabhi Na Shish Jhukaya ।
He Harihar Mai Har Ke Aaya,
Ab Kya Har Chadhaun,
॥ Maili Chadar Odh Ke.. ॥

Tu Hai Aparampar Dayalu,
Sara Jagat Sambhale,
Jaisa Bhi Hun Main Hun Tera,
Apani Sharan Lagale ।
Chhod Ke Tera Dwara Data,
Aur Kahin Nahin Jaun

Maili Chadar Odh Ke Kaise,
Dwar Tumhare Aun,
Hai Pavan Parmeshwar Mere,
Man Hi Man Sharmaun ।
मैली चादर ओढ़ के कैसे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैली चादर ओढ़ के कैसे, द्वार तुम्हारे आऊँ, हे पावन परमेश्वर मेरे, मन ही मन शरमाऊँ...
Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanRam BhajanShri Ram BhajanSant Ravidas BhajanShakti Singh Bhajan

Other Popular Maili Chadar Odh Ke Kaise Video

Hari Om Sharan

Anup Jalota

Sarojini Ghosh

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chhat Puja: Ho Deenanath Chhath Puja Songs

Chhat Puja: Sona Sat Kuniya, Ho Deenanath He Ghoomichha Sansar...

Chhath Puja: Jai Chhathi Maiya

Sabe Varat Karat, Ai Dhani Tuhoon Kar, Mar Jani Man Aasho, Bhaooji Koshi Bhar..

Chhath Puja: Pahile Pahil Chhathi Maiya

Chhath Puja: Pahile Pahil Ham Kahinee, Chhathi Maiya Vrat Tohaar। Kariha Kshama Chhathi Maiya...

Patna Ke Ghat Par Chhath

Ham Na Jaib Dusar Ghat, Dekhab Ai Chhathi Maiya ॥

Chhathi Maiya Bulaye

Ban pardesiya je gaila shahar tu, Bisra ke log aapan gaon ke ghar tu, Uhe gharwa uhe galiyaa pukare..