Rom Rom Mein Jiske Shri Ram Samaya Hai (रोम रोम में जिसके, श्री राम समाया है - भजन)


Rom Rom Mein Jiske,
Shri Ram Samaya Hai,
Aaj Usi Bajrang Ka,
Ye Utsav Aaya Hai ॥Shlok – Utsav Hai Bajrangbali Ka,
Khoob Saja Darbar,
Jab Saal Savai Aata Hai,
Tab Jhoom Uthe Sansar ॥

Rom Rom Mein Jiske,
Shri Ram Samaya Hai,
Aaj Usi Bajrang Ka,
Ye Utsav Aaya Hai,
Aaj Usi Bajrang Ka,
Ye Utsav Aaya Hai,
Devo Ka Bhi Jisne,
Re Sath Nibhaya Hai,
Panchmukhi Bajrangi,
Yahi Kahalaya Hai,
Aaj Usi Bajrang Ka,
Ye Utsav Aaya Hai ॥

Shobha Darbar Ki,
Kitani Pyari Lage,
Jo Bhi Nihare Inhe,
Uski Kismat Jage,
Vipda Sab Kat Jati,
Mile Re Dhan Maya Hai,
Aaj Usi Bajrang Ka,
Ye Utsav Aaya Hai ॥

Sankat Haran Baba,
Bhole Ka Avtar Hai,
Salasar Mehandipur,
Inaka Hi Darbar Hai,
Aaj Araj Sunane Ko,
Hamari Aaya Hai,
Aaj Usi Bajrang Ka,
Ye Utsav Aaya Hai ॥

Jiski Ye Raksha Kare,
Vo Jag Mein Kisase Dare,
Dushman Ki Tode Nali,
Bhakto Ke Kasht Hare,
Sab Bhakto Ka Sankat,
Isi Ne Mitaya Hai,
Aaj Usi Bajrang Ka,
Ye Utsav Aaya Hai ॥

Jo Pana Ho Bhagwan Ko,
Yaad Kar Lena Hanuman Ko,
Buddhi Ka Data Hai Ye,
Door Kar Deta Agyan Ko,
‘rajapal’ Hanumat Pe,
Shri Ram Ki Chhaya Hai,
Aaj Usi Bajrang Ka,
Ye Utsav Aaya Hai ॥

Rom Rom Mein Jiske,
Shri Ram Samaya Hai,
Aaj Usi Bajrang Ka,
Ye Utsav Aaya Hai,
Aaj Usi Bajrang Ka,
Ye Utsav Aaya Hai,
Devo Ka Bhi Jisne,
Re Sath Nibhaya Hai,
Panchamukhi Bajrangi,
Yahi Kahlaya Hai,
Aaj Usi Bajrang Ka,
Ye Utsav Aaya Hai ॥
रोम रोम में जिसके, श्री राम समाया है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
रोम रोम में जिसके, श्री राम समाया है, आज उसी बजरंग का, ये उत्सव आया है ॥
Bhajan Hanuman BhajanBajrangbali BhajanBalaji BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Jayanti BhajanRamyug Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Janme Avadh Me Ram Mangal Gao Ri

jis bhajan mein ram ka naam na ho, us bhajan ko gana na chahie...

Sare Jahan Ke Malik Tera Hi Aasara Hai

Sare Jahan Ke Malik, Tera Hi Aasra Hai, Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai...

Karlo Karlo Charo Dham

Karlo Karlo Charo Dham, Milenge Krishn, Milenge Ram Jeevan Safal Usi Ka Samjho, Jisne Kiya Ye Dham

Tum Karuna Ke Sagar Ho Prabhu

Tum Karuna Ke Sagar Ho Prabhu, Meri Gagar Bhar Do Thake Panv Hai

Tumhi Me Ye Jivan Jiye Ja Raaha Hoon

Tumhin Mein Ye Jeevan Jiye Ja Raha Hoon, Jo Kuchh De Rahen Ho Lie Ja Raha Hoon ॥ Tumhin Se Chala Karati Pranon Ki Dhadakan...