Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Chal Chala Chal O Bhagta (चल चला चल ओ भगता - भजन)


Chal Chala Chal O Bhagta
Chal Chala Chal O Bhagta,
Chal Chala Chal ॥
Shlok – Chhu Le Jo Maan Ki,
Chaukhat Ko to,
Jarra Bhi Sitara Ho Jaye,
Jahaan Zikr Ho Maan Ka Mangal Ho,
Jannat Ka Nazara Ho Jaye,
Maiya Ke Dar Pe, Har Shakti,
Aakar Ke Sheesh Jhukati Hai,
Saari Duniya Maan Ke Dar Pe,
Kashton Se Mukti Paati Hai ॥

Rakhke Man Mein Vishwas,
Naam Maiya Ka Le Le,
Tere Kaam Aayega,
Toote Na Aas,
Chal Chala Chal O Bhagta,
Chal Chala Chal ॥

Yug Yug Se Maan Sherawali,
Taar Rahi Hai Duniya Ko,
Jao Apni Bigdi Bana Lo,
Sawar Rahi Hai Duniya Ko,
Maan Ka Ban Ja Tu Daas,
Maan Ka Ban Ja Tu Daas,
Naam Maiya Ka Le Le,
Tere Kaam Aayega,
Toote Na Aas,
Chal Chala Chal Au Bhagta,
Chal Chala Chal ॥

Tan Man Kar De Maan Ko Arpan,
Mel Dilo Ke Dhoti Maan,
Bhar Deti Hai Ghar Khushiyo Se,
Jispe Khush Hoti Hai Maan,
Rahane De Na Udaas,
Rahane De Na Udaas,
Naam Maiya Ka Le Le,
Tere Kaam Aayega,
Toote Na Aas,
Chal Chala Chal Au Bhagta,
Chal Chala Chal ॥

Jiske Ghar Mein Sachche Man Se,
Maan Ka Poojan Hota Hai,
Vo Ghar Ghar Na Samjho Bhaiya,
Vo Ek Mandir Hota Hai,
Rahata Ek Dam Ullaas,
Rahata Ek Dam Ullaas,
Naam Maiya Ka Le Le,
Tere Kaam Aayega,
Toote Na Aas,
Chal Chala Chal Au Bhagta,
Chal Chala Chal ॥

Jai Mata Ki Kehta Chal ‘Lakha’,
Khul Jaye Kismat Teri Bhi,
Jaise Sunti Bhakto Ki,
Vaisi Sunegi Teri Bhi,
Phir Tu Na Ho Nirash,
Phir Tu Na Ho Nirash,
Naam Maiya Ka Le Le,
Tere Kaam Aayega,
Toote Na Aas,
Chal Chala Chal Au Bhagta,
Chal Chala Chal ॥

Rakhke Man Mein Vishwas,
Naam Maiya Ka Le Le,
Tere Kaam Aayega,
Toote Na Aas,
Chal Chala Chal O Bhagta,
Chal Chala Chal ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन

चल चला चल ओ भगता - भजन हिन्दी में पढ़ें

रखके मन में विश्वास, नाम मैया का ले ले, तेरे काम आएगा, टूटे ना आस, चल चला चल ओ भगता, चल चला चल ॥
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanShyama Gauri BhajanAmbe Gauri BhajanDevi Mata Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Dekho Pawan Param Shri Ram Ke Charan

Dekho Pawan Param Shri Ram Ke Charan, Shri Ram Ke Charan, Prabhu Ram Ke Charan, Dekhon Pawan Param Shri Ram Ke Charan ॥

Ram Tumhara Naam

Ram Tumhara Naam, Sukhon Ka Saar Hua, Ram Lehar Main Jo Dooba, Bas Wo Hi Par Hua..

Gira Ja Raha Hu Utha Lo

Prabhu Apane Dar Se, Ab to Na Taalo, Gira Ja Raha Hoon, Utha Lo Utha Lo, Khali Na Jata Koi Dar Se Tumhare..

Jo Ram Ka Nahi Kisi Kaam Ka Nahi

Raja Ram Sabhi Ke Unki, Praja Hai Yahan Sari, Ek Duje Se Ram -Ram, Kahake Milte Nar Naari, Ram Naam Anmol Mile, Kahi Dam Ka Nahi, Jo Ram Ka Nahi, Kisi Kaam Ka Nahi ॥

Bhajan Karo Mitra Mila Ashram Nartan Ka

Bhajan Karo Mitr Mila, Ashram Nartan Ka । Shwas Ki Sumirini Hai, Man Ko Bana Manka ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP