Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Chunari Sitaro Wali Ye Kamaal Kar Gayi (चुनरी सितारों वाली ये, कमाल कर गई - भजन)


Chunari Sitaro Wali Ye Kamaal Kar Gayi
Chunari Sitaron Wali Ye,
Kamaal Kar Gayi,
Bhakton Ko Maan Ki Chunari Ye,
Nihaal Kar Gayi ॥
Ud Ud Ke Chunar Pahunch Gayi,
Bramha Ji Ke Dhaam,
Bramhani Ne Li Hath Chunar,
Maan Ki Apne Thaam,
Brahmani Ne Odhi Chunar,
Kamaal Kar Gayi,
Bhakton Ko Maan Ki Chunari Ye,
Nihaal Kar Gayi ॥

Ud Ud Ke Chunar Pahunch Gayi,
Vishnu Lok Mein,
Maan Lakshmi Ne Thaam Layi,
Chunar Haath Mein,
Lakshmi Ne Odhi Chunar Ye,
Kamaal Kar Gayi,
Bhakton Ko Maan Ki Chunari Ye,
Nihaal Kar Gayi ॥

Ud Ud Ke Chunar Pahunch Gayi,
Kailash Pe,
Udke Chunariya Pahunchi,
Gaura Maan Ke Haath Mein,
Gaura Pe Saji Chunari Ye,
Kamaal Kar Gayi,
Bhakton Ko Maan Ki Chunari Ye,
Nihaal Kar Gayi ॥

Ud Ud Ke Chunar Pahunch Gayi,
Ayodhya Ke Dhaam,
Pahunchi Jahaan Pe Baithe,
Sita Maan Ke Sang Ram,
Sita Shringaar Mein Chunar,
Kamaal Kar Gayi,
Bhakton Ko Maan Ki Chunari Ye,
Nihaal Kar Gayi ॥

Barsaane Ud Ke Pahunch Gayi,
Chunari Maat Ki,
Radhe Ne Chunar Maat Ki,
Thi Haath Thaam Li,
Radhe Pahani Chunar Ye,
Kamaal Kar Gayi,
Bhakton Ko Maan Ki Chunari Ye,
Nihaal Kar Gayi ॥

Chunari Sitaron Wali Ye,
Kamaal Kar Gayi,
Bhakton Ko Maan Ki Chunari Ye,
Nihaal Kar Gayi ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन

चुनरी सितारों वाली ये, कमाल कर गई - भजन हिन्दी में पढ़ें

बरसाने उड़ के पहुँच गई, चुनरी मात की, राधे ने चुनर मात की, थी हाथ थाम ली, राधे पहनी चुनर ये, कमाल कर गई, भक्तों को माँ की चुनरी ये, निहाल कर गई ॥
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanVaishno Devi Bhajan Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chandan Hai Is Desh Ki Mati

Chandan Hai Is Desh Ki Mati, Tapobhoomi Har Gram Hai . Har Bala Devi Ki Pratima, Bachcha Bachcha Ram Hai

Us Desh Ko Duniya Mein Hindustan Kehte Hai

Hum Haar Maan Ne Vale Insan Nahi Hai, Jo Pith Dikha Kar Bhage Vo Bejan Nahi Hai, Sur Veero Ki Bhumi Hum Jis Dhara Pe Rahte Hai, Us Desh Ko Duniya Mein Hindustan Kehte Hai ॥

Bharat Hai Pehchan Meri

Bharat Hai Pehchan Meri Aor Tiranga Shan Meri, Duniya Mein Sabse Nyara Mujhe Desh Jaan Se Pyara Hai, Bas Hi Swarg Dwar Iske Liye To Harpal Hajir Jaan Mei, Bharat Hai Pehchan Meri Aor Tiranga Shan Meri ॥

Vande Mataram - National Song

National Anthem - Jana Gana Mana

Hamara Pyara Hindudweep

Hamara Pyara Hindudvip, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip, Ab Utho Jago Hey Aaryavir! Uttaal Prachand Samarasindhu Samip, Hey Subhat-Vikat-Vikaral-Kal, Prakhar-Prabal-Shur-Shastrapani Mahip,
Vishvahrday Yah Bharat-Bhushit, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip, Hamara Pyara Hindudvip, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip ॥

Swarn Swar Bharat

Hai Naya Oj Hai Naya Tej, Aarambh Hua Nav Chintan, Virat Bharat Vishal Bharat, Kar Raha Navayug Ka Abhinandan..

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Sawan 2026 - Sawan 2026
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP