Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Hey Pratham Pujya Gaurinandan Hum Sharan Tihari Aaye Hai (हे प्रथम पूज्य गौरीनंदन, हम शरण तिहारी आए है: भजन)


Hey Pratham Pujya Gaurinandan Hum Sharan Tihari Aaye Hai
Hey Pratham Pujya Gaurinandan,
Hum Sharan Tihari Aaye Hai,
Shraddha Ke Suman Arpit Karane,
Ham Thal Saja Kar Lae Hai,
Hey Pratham Pujya Gaurinandan,
Hum Sharan Tihari Aaye Hai ॥
Tum Riddhi Siddhi Ke Daata Ho,
Bal Aur Buddhi Ke Pradata ho,
Usako Bhav Par Lagate Ho,
Jo Naam Tihara Gaata Ho,
Naiya Bhav Mein Hai Dol Rahi,
Badi Aas Lagakar Aaya hai,
Hey Pratham Pujya Gaurinandan,
Hum Sharan Tihari Aaye Hai ॥

Tumhe Shiv Shankar Tripurari Ne,
Hay Pratham Poojya Varadan Diya,
Sab Devon Ne Apani Shakti,
Ka Ganpati Tumhe Varadan Diya,
Pahale Sab Tumhara Naam Jape,
Ham Jay Jayakar Lagaye Hai,
Hey Pratham Pujya Gaurinandan,
Hum Sharan Tihari Aaye Hai ॥

Muse Ki Savari Kar Ke Prabhu,
Kailash Pe Leela Dikhate Ho,
Maa Gaura Modak Bhog Dhare,
Bade Prem Se Deva Khate Ho,
Ham Bhi Shraddha Ke Modak Se,
Tumhe Bhog Lagane Aaye Hai,
Hey Pratham Pujya Gaurinandan,
Hum Sharan Tihari Aaye Hai ॥

Kalayug Deva Ghanaghor Ghana,
Tum Paar Lagane Aa Jao,
‘Chandan’ Ki Vinati Swikaro,
Prabhu Darsh Dikhane Aa Jao,
Hum Tumhari Jay Jayakar Kare,
Aur Shish Navane Aaye Hai,
Hey Pratham Pujya Gaurinandan,
Hum Sharan Tihari Aaye Hai ॥

Hey Pratham Pujya Gaurinandan,
Hum Sharan Tihari Aaye Hai,
Shraddha Ke Suman Arpit Karane,
Ham Thal Saja Kar Lae Hai,
Hey Pratham Pujya Gaurinandan,
Hum Sharan Tihari Aaye Hai ॥

हे प्रथम पूज्य गौरीनंदन, हम शरण तिहारी आए है: भजन हिन्दी में पढ़ें

हे प्रथम पूज्य गौरीनंदन, हम शरण तिहारी आए है, श्रद्धा के सुमन अर्पित करने, हम थाल सजा कर लाए है, हे प्रथम पुज्य गौरीनंदन, हम शरण तिहारी आए है ॥
Read Also

Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

New Bhaye Pragat Kripala Bhajan By Manoj Muntashir

Bhaye Pragat Kripala, Deendayala, Kausalya Hitakari । Harashit Mahatari, Muni Mana Hari, Adbhut Roop Bichari

Jiski Lagi Re Lagan Bhagwan Mein

Jiski Lagi Re Lagan Bhagwan Mein, Uska Diya Re Jalega Toophan Mein ।

Mil Kaho Garv Se Hindu Hain Ham

Mil Kaho Garv Se Hindu Hai Hum, Yah Hindustan Humara, Tha Swami Ji Ka Nara...

Rom Rom Me Basa Hua Hai Ek Usi Ka Naam

Rom Rom Mein Basa Hua Hai, Ek Usi Ka Naam, Tu Japle Ram Ram Ram, Tu Bhajle Ram Ram Ram, Rom Rom Mein Basa Hua Hain ॥

Badhaiya Baje Angane Mein

Badhaiya Baje Aangne Mein, Badhaiya Baje Aangne Me ॥Chandramukhi Mrignayani Avadh Ki, Todat Taane Raagne Mein..

Hey Ram, Hey Ram !

Hey Raam, Hey Raam, Jag Mein Sacho Tero Naam, Hey Raam, Hey Raam, Tu Hee Mata, Tu Hee Pita Hai

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP