Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Saare Teerath Baar Baar Ganga Sagar Ek Baar (सारे तीरथ बार बार गंगा सागर एक बार - भजन)


Saare Teerath Baar Baar Ganga Sagar Ek Baar
Patit Pawani Ganga
O Paap Nashini Ganga
Mukti Dayani Ganga
Saare Teerath Baar Baar
Ganga Sagar Ek Baar

Saare Teerath Baar Baar
Ganga Sagar Ek Baar

Jaha Mili Sagar Se Ganga
Kar Sau Raste Paar

Vedo Mein Sarvottam
Maane Ye Sansaar

Saare Teerath Baar Baar
Ganga Sagar Ek Baar

Raja Sagar Ne Ashwamegh
Ka Yagya Karana Chaha
Saare Bhoo Mandal Pe
Apna Raj Chalana Chaha
Sinhaasan Indra Ka Dola
Bhakti Bharat Lyrics

Chori Se Ghode Ko Khola
Laa Bandha Kapil Muni Ke Dwar

Vedo Mein Sarvottam
Maane Ye Sansaar

Saare Teerath Baar Baar
Ganga Sagar Ek Baar

Patit Pawani Ganga
O Paap Nashini Ganga

Iss Prathvi Ka Kona Kona
Dhoodh Dhoodh Kar Haare Jee

Aakhir Vo Patal Mein Pahuche
Putra Sagar Ke Pyare Jee

Baithe Muni Dhyan Lagaye
Sadhu Per Patthar Barsaye

Kapil Muni Ke Krodh Mein Jal Gaye
Ladke Saath Hazar

Vedo Mein Sarvottam
Maane Ye Sansaar

Saare Teerath Baar Baar
Ganga Sagar Ek Baar
Patit Pawani Ganga
Mukti Dayani Ganga

Anshuman Ne Kapil Muni Ki
Seva Ka Phal Paya
Shrap Diya Tha Jisne

Mukti Ka Path Bataya

Ganga Ko Sheesh Jhukau
Ganga Ko Dharti Pe Laao
Ganga Ka Jal Hi
In Sabki Mukti Ka Aadhar

Vedo Mein Sarvottam
Maane Ye Sansaar

Saare Teerath Baar Baar
Ganga Sagar Ek Baar

Patit Pawani Ganga
O Paap Nashini Ganga

Anshumaan Ka Ardh Deep Ka
Tap Kuchh Kaam Naa Aaya

Bhagirath Hua Tap Kar Sona
Wahi Brahma Ke Man Bhaya Re

Bhagirath Ne Shankar Ko Sadha
Shiv Jee Ne Ganga Ko Bandha

Aage Aage Bhagirath
Peechhe Ganga Ki Dhaar

Vedo Mein Sarvottam
Maane Ye Sansaar
Patit Pawani Ganga
Mukti Dayani Ganga

Iss Ganga Sagar Ke Tat Se
Koi Gaya Naa Pyasa Re
Ho Hum Yahi Chaahe
Jeete Marte Ho Iss Jal Mein Vasa

Ganga To Paapo Ko Dhoti
Re Fir Bhi Maili Naa Hoti
Jis Ganga Sagar Ke Jal
Ne Lakho Ko Diya Taar

Vedo Mein Sarvottam
Maane Ye Sansaar
Saare Teerath Baar Baar
Ganga Sagar Ek Baar

Patit Pawani Ganga
O Paap Nashini Ganga

Ek Baras Bas Ek Din Vaha
Bhari Mela Lage Jee

Ganga Sagar Tat Wahi Pahuche
Jiski Kismat Jaage Jee

Dukho Se Peedit Nar Naari
Hote Hai Har Sukh Ke Adhikari

Ho Janam Janam Ke Paap Kate
Iss Jal Mein Dubaki Maar

Vedo Mein Sarvottam
Maane Ye Sansaar
Saare Teerath Baar Baar
Ganga Sagar Ek Baar
Patit Pawani Ganga
O Paap Nashini Ganga
Mukti Dayani Ganga

Saare Teerath Baar Baar
Ganga Sagar Ek Baar

सारे तीरथ बार बार गंगा सागर एक बार - भजन हिन्दी में पढ़ें

पतित पावनि गंगा, ओ पाप नाशीनी गंगा, मुक्ति दायनी गंगा, सारे तीरथ बार बार, गंगा सागर एक बार
Read Also

Bhajan Maa Ganga BhajanShri Ganga BhajanGanga Snaan BhajanGanga Sagar BhajanMarakar Sankanti BhajanGangasagar Teerth Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Main Too Aai Vrindavan Dham Kishori Tere Charanan Main

Main to Aai Vrindavan Dham Kishori Tere Charnan Mein । Kishori Tere Charanan Mein,..

Karke Isharo Bulaye Gayi Re

Bhakti Bharat is bringing you a devotional song cherished by Indresh-ji; here are the lyrics.. karke isharo bulaye gai re, barsane ki chhori radha gori gori

Naam Meri Radha Rani Ka Jis Jis NeGaya Hai

Naam Meri Radha Rani Ka Jis Jis Ne Gaya Hai, Banke Bihari Ne Use Apana Banaya Hai, Jai Radhe Jai Radhe Jai Shree Radhe Bolo Jai Radhe ॥

Basale Maan Mandir Me Ram

Basale Man Mandir Mein Ram, Banenge Bigde Tere Kaam, Basalen Man Mandir Mein Ram, Basalen Man Mandir Mein Ram ॥

O Ram Ji Tere Bhajan Ne Bada Sukh Dina

O Ramji Tere Bhajan Ne, Bada Sukh Dina, Tere Bhajan Ne, Bada Sukh Dina, Ye Duniya Diwani, Do Din Ki Kahani, Pal Do Pal Ka Hai Jina, Bada Sukh Dina, Tere Bhajan Ne, Bada Sukh Dina ॥

Meri Fariyad Sun Bhole

Meri Fariyad Sun Bhole, Tere Dar Aaya dewana, Maan Ki Murade puri Kar, Siwa Tere Na Koi Thikana, Meri Fariyad Sun Bhole, Tere Dar Aaya dewana ॥

Sabke Dil Mein, Shyam Ki Tasveer Hai

Sabke Dil Mein, Shyam Ki Tasveer Hai, Koi Dhanna Seth, Koi Phakir Hai, Dar Pe Aata Wahin, Jiski Takdir Hai..

Om Jai Jagdish Hare Aarti - Om Jai Jagdish Hare Aarti
Shri Krishna Bhajan - Shri Krishna Bhajan
Bhakti Bharat APP