Download Bhakti Bharat APP
Hanuman Chalisa - Follow Bhakti Bharat WhatsApp Channel - Hanuman Chalisa - Ganesh Aarti Bhajan -

Shiv Shankar Damru Dhari Hai Jag Ke Aadhar (शिव शंकर डमरू धारी, है जग के आधार - भजन)


Shiv Shankar Damru Dhari Hai Jag Ke Aadhar
Shiv Shankar Damru Dhari,
Hai Jag Ke Aadhar,
Teeno Lok Pe Rahata Hai,
Unka Hi Adhikar,
Shiv Shankar Damru Dharin,
Hai Jag Ke Aadhar ॥
Shivji Hi Srishti Sanchalak Hai,
Shivji Kan Kan Mein Vyapak Hai,
Ye Shiv Shankar Kailashi Hai,
Ye Shivji Kashiwasi Hai,
Inke Hathon Mein Hai Tribhuvan,
Sab Devon Par Inka Shasan,
Ye Bhole Jo Hai Shiv Shankar,
Sab Karte Hain Inka Aadar,
Mahadev Shiv Bhole Hai,
Devon Ke Sardaar,
Shiv Shankar Damru Dharin,
Hai Jag Ke Aadhar ॥

Shiv Ka Simran Hai Phaldai,
Shiv Ka Simran Hai Sukhdai,
Shiv Jaap Se Shanti Milti Hai,
Shiv Jaap Se Mukti Milti Hai,
Shiv Bhole Bade Dayalu Hai,
Shiv Bhole Bade Kripalu Hai,
Bhakton Pe Mehar Vo Karte Hain,
Shiv Jholiya Sabki Bharte Hai,
Shiv Ke Jaisa Koi Nahin,
Daani Aur Daataar,
Shiv Shankar Damru Dharin,
Hai Jag Ke Aadhar ॥

Vo Nirdhan Ho Ya Koi Dhani,
Is Baat Se Phark Nahin Koi,
Vo Rank Ho Ya Koi Raja,
Yaha Koi Nahin Hai Chhota Bada,
Shiv Ki Jo Sharan Mein Aate Hai,
Vo Kabhi Nirash Na Jaate Hai,
Shiv Sab Pe Karte Hain Kripa,
Milta Hai Sabko Pyaar Unka,
Mahakaal Mahadev Ji Hai,
Sab Ke Taranhar,
Shiv Shankar Damru Dharin,
Hai Jag Ke Aadhar ॥

Jeevan Mrityu Ke Adhikari,
Hai Yahi to Bhole Bhandari,
Hai Moksh Ke Data Shiv Shankar,
Hai Jagat Pita Ye Nageshwar,
Bhole Hi Bhagya Vidhata Hai,
Shiv Sarv Guni Hai Gyata Hai,
Shiv Simran Se Har Paap Dhule,
Shiv Ki Iccha Se Swarg Mile,
Shiv Ke Ek Ishare Par,
Khulte Moksh Ke Dwar,
Shiv Shankar Damru Dharin,
Hai Jag Ke Aadhar ॥

Jab Ant Samay Aa Jata Hai,
Aur Jeev Bahut Ghabrata Hai,
Jab Praan Pakheru Udta Hai,
Jeevan Mrityu Se Judta Hai,
Nirjeev Ho Jati Hai Kaya,
Mandrati Hai Mrityu Chhaya,
Tab Shiv Hi Sahara Dete Hai,
Naiyya Ko Kinara Dete Hai,
Bhavsagar Se Naiyya Ko,
Shiv Hi Lagate Paar,
Shiv Shankar Damru Dharin,
Hai Jag Ke Aadhar ॥

Hum Bhole Bhakt Tumhare Hai,
Hum Mangte Aaye Dware Hai,
Hey Mahadev He Shiv Shankar,
Kuch Daya Karo Hum Dukhiyon Par,
Hum Sab Dukh Dard Ke Mare Hai,
Ham Aaye Dwar Tumhare Hai,
Ardaas Hai Tumse Bas Itani,
Sun Lo a Bhole Bhandari,
Hum Par Bhi Kripa Karna,
Hey Jag Ke Kartaar,
Shiv Shankar Damru Dharin,
Hai Jag Ke Aadhar ॥

Shiv Shankar Damru Dhari,
Hai Jag Ke Aadhar,
Teeno Lok Pe Rahata Hai,
Unka Hi Adhikar,
Shiv Shankar Damru Dharin,
Hai Jag Ke Aadhar ॥

शिव शंकर डमरू धारी, है जग के आधार - भजन हिन्दी में पढ़ें

शिव शंकर डमरू धारी, है जग के आधार, तीनो लोक पे रहता है, उनका ही अधिकार, शिव शंकर डमरू धारीं, है जग के आधार ॥
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Shiv Shankar Damru Dhari Hai Jag Ke Aadhar Video

By Debashish Dasgupta

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji

Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji, Tere Bina Main Kuch Nahi Baba Sab Kuch Tujhse Hi, Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji ॥

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Ganga Ke Kinare Chale Jana

mitadi Hai Moorat, Jindi Ye Vani Hai, ganga Kinare Chale Jana, mudke Phir Nahin Aana

Mano Toh Main Ganga Maa Hun

Mano to Main Ganga Maa Hun, Na Mano to Bahata Pani, Jo Swarg Ne Di Dharti Ko, Mein Hun Pyar Ki Vahi Nishani

Hey Tripurari Gangadhari

Hey Tripurari Gangadhari, Srshti Ke Aadhar, Shankar Kirapa Karunakar, Bhole Kirapa Karunakar ॥

Bharat Ke Liye Bhagwan Ka Ek Vardan Hai Maa Ganga

Bharat Ke Lie Bhagwan Ka, Ek Vardan Hai Ganga, Sach Puchho to Is Desh Ki, Pahachan Hai Ganga, Har Har Gange, Har Har Gange

Mere Raghav Ji Utrenge Paar, Ganga Maiya Dheere Baho

Mere Raghav Ji Utrenge Paar, Ganga Maiya Dheere Baho, Maiya Dheere Baho..

Hanuman Chalisa -
Ram Bhajan -
×
Bhakti Bharat APP