Tore Unche Bhawan Bane Maat Bhawani,
Mor Nachat Hai Bagon Mein ॥
Maa Ke Mandir Pe Kanchan Kalash Dhare,
Wahan Chandan Ke Jade Hai Kiwad Bhawani,
Mor Nachat Hai Bagon Mein ॥
Tore Angana Mein Nowat Baj Rahi,
Shankh Jhalar Baje Khadatal Bhawani,
Mor Nachat Hai Bagon Mein ॥
Baithi Atal Singhasan Jagadambe,
Odhe Chunari Maa Gotedar Bhawani,
Mor Nachat Hai Bagon Mein ॥
Maa Ke Mastak Pe Bindiya Damak Rahi,
Gale Motiyan Ki Mala Daar Bhawani,
Mor Nachat Hai Bagon Mein ॥
Kaan Kundal Mein Hira Chamak Rahe,
Sohe Sone Ke Kangan Haath Bhawani,
Mor Nachat Hai Bagon Mein ॥
Paanw Paijaniya Chham Chham Baj Rahi,
Bahe Charanon Se Amrt Ki Dhaar Bhawani,
Mor Nachat Hai Bagon Mein ॥
Dhyan Poojan ‘Padam’ Na Janat Hai,
Karoon Kaise Tumharo Singar Bhawani,
Mor Nachat Hai Bagon Mein ॥
Tore Unche Bhawan Bane Maat Bhawani,
Mor Nachat Hai Bagon Mein ॥
Durga Chalisa |
Aarti: Jai Ambe Gauri, Maiya Jai Shyama Gauri |
Aarti: Ambe tu hai Jagdambe Kali |
mahishasuramardini stotram |
bhajans of mother