Kya Leke Aaya Bande Kya Leke Jayega (क्या लेके आया जग में क्या लेके जाऐगा - भजन)


Kya Leke Aaya Bande,
Kya Leke Jayega,
Do Din Ki Jindagi Hai,
Do Din Ka Mela ॥
Doha – Aaya Hai So Jayega,
Raja Rank Phakir,
Koi Sinhasan Chadh Chale,
Koi Bandhe Janjeer ।

Kya Leke Aaya Bande,
Kya Leke Jayega,
Do Din Ki Jindagi Hai,
Do Din Ka Mela ॥

Iss Jagat Sarai Mein,
Musaphir Rahna Do Din Ka,
Kyon Virtha Kare Guman,
Murakh Is Dhan Aur Joban Ka,
Band Mutthi Aaya Jag Mein,
Khali Hath Jayega,
Do Din Ki Jindagi Hai,
Do Din Ka Mela ॥

Vo Kahan Gaye Balvan,
Teen Baar Dharti Tolaniyan,
Jyaari Edi Padti Dhaak,
Naahi Koi Shaamen Bolaniyan,
Nirbhay Dolaniyan Ve to,
Gaya Re Akela,
Do Din Ki Jindagi Hai,
Do Din Ka Mela ॥

Nahin Chhod Sakya Koi,
Maya Gini Ginai Ne,
Gadh Kila Ri Niv Chhod Gaya,
Chini Chinai Ne,
Chini Re Chinai Rah Gai,
Gaya Hai Akela,
Do Din Ki Jindagi Hai,
Do Din Ka Mela ॥

Iss Kaya Ka Hai Bhagya,
Bhagya Bin Paya Nahin Jata,
Kahe ‘sharma’ Bina Nasib,
Tod Phal Khaya Nahin Jata,
Bhavsagar Se Tar Le Bande,
Hari Gun Gayale,
Do Din Ki Jindagi Hai,
Do Din Ka Mela ॥

Kya Leke Aaya Bande,
Kya Leke Jayega,
Do Din Ki Jindagi Hai,
Do Din Ka Mela ॥
क्या लेके आया जग में क्या लेके जाऐगा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
क्या लेके आया बन्दे, क्या लेके जायेगा, दो दिन की जिन्दगी है, दो दिन का मेला...
Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanGuru Gyan BhajanInspirational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanKabir BhajanKabir Vani BhajanArya Samaj BhajanTarasingh Dodve Bhajan

Other Popular Kya Leke Aaya Bande Kya Leke Jayega Video

Anil Nagori

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Beta Jo Bulaye Maa Ko Aana Chahiye

Maiya Ji Ke Charnon Me Thikana Chahie । Beta Jo Bulaye Man Ko Aana Chahiye ॥

Meri Akhion Ke Samne Hi Rehna Maa Jagdambe

Meri Akhiyon Ke Samne Hi Rahana, Maa Sheron Wali Jagdambe ।

Durga Hai Meri Maa Ambe Hai Meri Maa

Durga Hai Meri Maa, Ambe Hai Meri Maa | Jo Bhi Dar Pe Aae, Jay Ho

Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara

Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara । Dil Ne Pukara Tu Hai Mera Sahara Maa | Sheranwali, Jotanwali, Mehraanwali Maa