Aaj Saje Hain Mere Ghar Ke Dware, Aaj Vinayak Mere Aangan Padhare
Swagat Tumhara Hey Ganraja, Jaage Hain Bhag Humare
Poore Baras Raah Humne Taki, Tab Aaj Aai Hai Ye Shubh Ghadi
Chaaron Taraph Roshni Hai Saji
Aasan Bichhaya Bade Chaav Se, Mandir Sajaya Bade Bhav Se
Jisme Jale Dhoop-Deep-Aarti ॥1॥
Aaj Saje Hain Mere Ghar Ke Dware, Aaj Vinayak Mere Aangan Padhare
Adbhut Tera Roop Hai Gajvadan, Darshan Kiye the Bhare Na Nayan
Ji Chaahe Pal Pal Nihaara Karoon
Sindoori Teeke Se Jagmag Hai Bhaal, Kaanon Mein Kundal Nayan Do Vishaal
Sumiran Sada Main Tumhara Karoon ॥ 2॥
Aaj Saje Hain Mere Ghar Ke Dware, Aaj Vinayak Mere Aangan Padhare
Jay He Chaturbhuj Tumhari Daya, Jisako Mili Dhany Vo Ho Gaya
Jeevan Mein Uske Rahi Na Taras
Itna Ki Bas Maange Vardaan Hum, Karte Rahen Tera Gungaan Hum
Seva Ka Avsar Mile Har Baras ॥ 3॥
Aaj Saje Hain Mere Ghar Ke Dware, Aaj Vinayak Mere Aangan Padhare
Swagat Tumhara Hey Ganraja, Jaage Hain Bhag Humare