Shri Hanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Darash Ko Aa Rahi Hun Maa Meri Ardas Sun Lena (दरश को आ रही हूं माँ, मेरी अरदास सुन लेना - भजन)


Darash Ko Aa Rahi Hun Maa Meri Ardas Sun Lena
Darash Ko Aa Rahi Hun Maa,
Meri Ardas Sun Lena ॥
Doha - Sabko Hai Maiya Tune,
Apne Gale Lagaya Hai,
Dukhiyon Ke Kasht Nivare,
Bigdi Ko Banaya Maa,
Ho Gae Kya Bhul Mujhko,
Kyun Bishraya Hai,
Chokhat Per Akar Ke Maa Mene,
Daman Phelaya Hai ॥

Darash Ko Aa Rahi Hun Maa,
Meri Ardas Sun Lena,
Mein Khali La Rahi Daman,
Mere Daman Ko Bhar Dena,
Jay Jay Ambe Maa,
Jay Jagdambe Maa ॥

Nange Panw Teri Chadhi Chadhai,
Pad Rahe Panw Mein Chale,
Unche Pahadon Pe Dera Tera,
Bhagat Ki Laaj Bacha Le,
Dard Ab Na Saha Jaye,
Chalae Aakar Chadha Lena,
Mein Khali La Rahi Daman,
Mere Daman Ko Bhar Dena,
Jay Jay Ambe Maa,
Jay Jagdambe Maa ॥

Nau Roopon Mein Pooja Tujhako,
Laal Chunariya Lae,
Paan Supari Dhwaja Nariyal,
Maa Teri Bhent Chadhae,
Mein Kyun Mangu Tu Sab Jane,
Meri Bigdi Bana Dena,
Mein Khali La Rahi Daman,
Mere Daman Ko Bhar Dena,
Jay Jay Ambe Maa,
Jay Jagdambe Maa ॥

Bhandare Bharti Hai sabke,
Aawe Jo Nar Nari,
Tu Hi Ambe Tu jagdambe,
Tu Durga Maharani,
Bana De Meri Bhi Kismat,
Sitare Jagmaga Dena,
Mein Khali La Rahi Daman,
Mere Daman Ko Bhar Dena,
Jay Jay Ambe Maa,
Jay Jagdambe Maa ॥

Dushto Ka Sanhar Kare Tu,
Karti Sinha Sawari,
Charon Mein Mujhe Apne Lagake,
Sewa Karun Tihari,
Andhere Gam Ke Har Le Tu,
Ujale Khusiyon Ke Kar Dena,
Mein Khali La Rahi Daman,
Mere Daman Ko Bhar Dena,
Jay Jay Ambe Maa,
Jay Jagdambe Maa ॥

Jivan Bhara Tera Gaun Mein Yash,
Aasi Kirpa Banana,
Lalit Sumit Ke Jivan Ko Tu,
Sundar Sahaj Banana,
Lagan Tere Charanon Ki Maa Sada,
Yun Hi Laga Lena,
Mein Khali La Rahi Daman,
Mere Daman Ko Bhar Dena,
Jay Jay Ambe Maa,
Jay Jagdambe Maa ॥

Darash Ko Aa Rahi Hun Maa,
Meri Ardas Sun Lena,
Mein Khali La Rahi Daman,
Mere Daman Ko Bhar Dena,
Jay Jay Ambe Maa,
Jay Jagdambe Maa ॥

दरश को आ रही हूं माँ, मेरी अरदास सुन लेना - भजन हिन्दी में पढ़ें

दरश को आ रही हूं माँ, मेरी अरदास सुन लेना, मैं खाली ला रही दामन, मेरे दामन को भर देना, जय जय अंबे माँ, जय जगदंबे माँ ॥
Read Also

Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tera Darbar O Baba Badi Kismat Se Milta Hai

तेरा दरबार ओ बाबा बड़ी क़िस्मत से मिलता है। जो आ जाए शरण तेरी तेरी किरपा से चलता है।

Somnath Mahadev Bholiya

Sōmanātha mahādēva bhōḷīyā karuṁ tamārī sēva, jaṭāmāṁ vasē māta gaṅgēva patitanē pāvana karatī

Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge Lataon Me Brij Ki Gujara Karenge

Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge, Lataon Mein Brj Ki Gujara Karenge । Kahin to Milenge Vo Banke Bihari...

Vaishnav Jan To Tene Kahiye Je

Vaishnav Jan To, Tene Kahiye Je, Peed Paraaye Jaane Re। Par Dukkhe Upkaar Kare Toye, Man Abhiman Na Anne Re...

Mann Mohan Murat Teri Prabhu

Man Mohan Murat Teri Prabhu, Mil Jaoge Aap Kahin Na Kahin । Yadi Chaah Hamare Dil Mein Hai,

Baba Tumse Gujarish Hai Mujhe Lene Tumhi Aana

Mere Jeevan Ki Ik Tamanna Hai, Is Tamanna Ko Poora Karo।

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP