दिवाली  2026 - Diwali 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Jagdati Pahado Wali Maa Meri Bigdi Banane Aa Jao (जगदाती पहाड़ों वाली माँ, मेरी बिगड़ी बनाने आ जाओ: भजन)


Jagdati Pahado Wali Maa Meri Bigdi Banane Aa Jao
Jagdati Pahadon Wali Maan,
Meri Bigdi Banane Aa Jao,
Mera Aur Sahara Koi Na,
Meri Laaj Bachane Aa Jao,
Jagdati Pahadon Wali Maan,
Meri Bigdi Banane Aa Jao ॥
Main Nirbal Nirdhan Din Bada,
Main Ghir Gaya Gum Ke Gheron Mein,
Maan Jyoti Rupa Bhay Harni,
Kahin Doob Na Jaoon Andheron Mein,
Kamjor Hoon Main Maiya,
Meri Chinta Mitane Aajao,
Meri Chinta Mitane Aajao,
Jag Daati Pahado Wali Maan,
Meri Bigdi Banane Aa Jao ॥

Tere Bhare Huye Bhandar Hai Maan,
Mohtaaj Main Daane Daane Ka,
Tere Hote Hue Dil Kamp Raha,
Tere Dwar Ke is Deewane Ka,
Meri Naav Bhanwar Mein Phansi,
Ise Paar Lagane Aa Jao,
Ise Paar Lagane Aa Jao,
Jag Daati Pahado Wali Maan,
Meri Bigdi Banane Aa Jao ॥

Kaheen Ek Garib Ki Kutiya Na,
Logon Ki Najar Se Gir Jaye,
Vishwas Ke Rangon Par Maiya,
Kaheen Paani Hi Na Phir Jaye,
Kya Karoon Kuch Sujhe Na,
Mujhe Rasta Dikhane Aa Jao,
Mujhe Rasta Dikhane Aa Jao,
Jag Daati Pahado Wali Maan,
Meri Bigdi Banane Aa Jao ॥

Jagdati Pahadon Wali Maan,
Meri Bigdi Banane Aa Jao,
Mera Aur Sahara Koi Na,
Meri Laaj Bachane Aa Jao,
Jagdati Pahado Wali Maan,
Meri Bigdi Banane Aa Jao ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन

जगदाती पहाड़ों वाली माँ, मेरी बिगड़ी बनाने आ जाओ: भजन हिन्दी में पढ़ें

जगदाती पहाड़ों वाली माँ, मेरी बिगड़ी बनाने आ जाओ, मेरा और सहारा कोई ना, मेरी लाज बचाने आ जाओ, जगदाती पहाड़ो वाली मां, मेरी बिगड़ी बनाने आ जाओ ॥
Read Also

Bhajan Devi Maan BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanAmbe Mata BhajanJagdambe Mata BhajanMaa Bhawani Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Ramdoot Mahavir Hanuman Sweekaro

Ramdoot Mahavir Hanuman, Swikaro Mere Koti Pranam, Aas Lagi Tori Kirpa Nidhan,..

Bajrangi Tera Sota Kamal

Bajarangi Tera Sota Kamal, Machai Jag Mein Baba Dhamal, Ram Gun Gayenge Kasta Mit Jayenge ॥

Maan Mandir Mein Ram Hona Chahiye

Juba Pe Ram Ka Naam Hona Chahiye, Maan Mandir Mein Ram Hona Chahiye, Maan Mandir Mein Ram Hona Chahiye ॥

Jagmag Hui Ayodhya Nagari Sant Kare Gungan

Ratan Sinhasan Ram Virajen, Aae Ghadi Mahan, Dhumdham Se Abadhapuri Main,
Ho Mandir Nirman, Ankhiyan Taras Gae Sadiyon Se, Jhume Sakal Jahaan, Jagmag Hui Ayodhya Nagari,
Sant Kare Gungan ॥

Saanjh Savere Nain Bicha Ke Rah Taku Raghunandan Ki

Saanjh Savere Nain Bichha Ke, Rah Taku Raghunandan Ki, Ram Ayenge Jag Jayegi..

Jab Ayodhya Mein Janm Liya Ram Ne

Raja Dasharath Kaushalya, Ke Ghar Mein Khushi, Jab Ayodhya Mein Janm, Liya Ram Ne,
Chaitr Mahine Ki Vo Thi, Suhani Ghadi, Chaitr Navami Ko Janm, Liya Ram Ne, Raja Dasharath Kaushalya, Ke Ghar Mein Khushi, Jab Ayodhya Mein Janm, Liya Ram Ne ॥

Aditya Hridaya Stotra - Aditya Hridaya Stotra
Shri Krishna Bhajan - Shri Krishna Bhajan
Bhakti Bharat APP