Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Meri Akhion Ke Samne Hi Rehna Maa Jagdambe (मेरी अखियों के सामने ही रहना, माँ जगदम्बे: भजन)


Meri Akhion Ke Samne Hi Rehna Maa Jagdambe
Navdurga, Durga Pooja, Navaratri, Navaratre, Navaratri, Mata Ki Chauki, Devi Jagran, Jagrata, Shukravar Durga Tatha Ashtami Ke Shubh Avsar Par Gaye Jane Vala Prasiddh Va Lokapriya Bhajan ।
Meri Akhiyon Ke Samne Hi Rehna,
Maa Sheron Wali Jagdambe ।
॥ Meri Akhiyon Ke Samne… ॥

Hum to Chakar Maiya Tere Darbaar Ke,
Bhukhe Hain Ham to Maiya Bas Tere Pyar Ke ॥
॥ Meri Akhiyon Ke Samne… ॥

Vinti Hamari Bhi Ab Karo Manzur Maa,
Charnon Se Hamako Kabhi Karna Na Door Maa ॥
॥ Meri Akhiyon Ke Samne… ॥

Mujhe Jaan Ke Apna Balak Sab Bhool Tu Meri Bhula Dena,
Sheron Wali Jagdambe Aanchal Mein Mujhe Chhipa Lena ॥
॥ Meri Akhiyon Ke Samne… ॥

Tum Ho Shiv Ji Ki Shakti Maiya Sheron Wali,
Tum Ho Durga Ho Ambe Maiya Tum Ho Kali ॥
Ban Ke Amrit Ki Dhar Sada Bahana,
O Sheron Wali Jagdambe ॥
॥ Meri Akhiyon Ke Samne… ॥

Tere Balak Ko Kabhi Maa Sabar Aae,
Jahan Dekhun Maa Too Hi Too Nazar Aaye ॥
Mujhe Isake Seeve Kuchh Na Kahana,
O Sheron Wali Jagdambe ॥
॥ Meri Akhiyon Ke Samne… ॥

Dedo Sharma Ko Bhakti Ka Daan Maiya Ji,
Lakkha Gata Rahe Tera Gunagan Maiya Ji ॥
Hai Bhajan Tera Bhakto Ka Gahana,
O Sheron Wali Jagdambe ॥

Meri Akhiyon Ke Samne Hi Rahana,
Maa Sheron Wali Jagdambe ।
Meri Akhiyon Ke Samne Hi Rahana,
Maa Sheron Wali Jagdambe ।
Bhakti Bharat Lyrics

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन

मेरी अखियों के सामने ही रहना, माँ जगदम्बे: भजन हिन्दी में पढ़ें

मेरी अखियों के सामने ही रहना, माँ शेरों वाली जगदम्बे।
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanMaa Durga BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanGulsan Kumar Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aayi Mahadevi Avtar Bhawani More Angna Main

Aain Mahadevi Avtar, Bhawani More Angna Mein, More Angna Mein Tori Madhiya Mein, Chhain Khushiyan Aprampar, Bhawani Tori Madhiya Mein, Aain Mahadevi Avtar, Bhawani More Angna Mein ॥

Nit Mahima Mai Gaun Maiya Teri

Sada Jyot Jagaoon Maiya Teri, Nit Mahima Main Gaun Maiya Teri, Mujhe Na Kuch Aur Chahiye ॥

Khel Panda Khel Panda Re

Khel Panda Khel Panda Re, Khel Panda Re

Singh Sawari Mahima Bhari

Singh Sawari Mahima Bhari, Pahadon Mein Asthan Tera, Bramha Vishnu Shiv Shankar Bhi, Karte Maan Gungan Tera ॥

Tum Sharnai Aaya Thakur

Tum Sharnai Aaya Thakur, Tum Sharnai Aaya Thakur ॥ Utari Gaio Mere Man Ka Sansa, Jab Te Daraanu Paia ॥

Jagat Me Koi Na Permanent

Jagat Mein Koi Na Permanent, Tel Chameli Chandan Sabun

Bhagwan Buddha Vandan

Namo Tass Bhagvato Arhato Samma Sambuddhass ।

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP