Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Maili Chadar Odh Ke Kaise (मैली चादर ओढ़ के कैसे - भजन)


Maili Chadar Odh Ke Kaise
Maili Chadar Odh Ke Kaise,
Dwar Tumhare Aaoon,
Hai Pavan Parmeshwar Mere,
Man Hi Man Sharmaun ।
॥ Maili Chadar Odh Ke.. ॥
Tune Mujhko Jag Mein Bheja,
Nirmal Dekar Kaya,
Akar Ke Sansar Mein Mainne,
Isko Daag Lagaya ।
Janam Janam Ki Maili Chadar,
Kaise Daag Chhudaun,
॥ Maili Chadar Odh Ke.. ॥

Nirmal Vani Pakar Tujhse,
Naam Na Tera Gaya,
Nain Mundkar He Parameshvar,
Kabhi Na Tujhko Dhyaya ।
Mann-vina Ki Tare Tuti,
Ab Kya Rag Sunaun,
॥ Maili Chadar Odh Ke.. ॥

In Pairon Se Chalkar Tere,
Mandir Kabhi Na Aya,
Jahan Jahan Ho Puja Teri,
Kabhi Na Shish Jhukaya ।
He Harihar Mai Har Ke Aaya,
Ab Kya Har Chadhaun,
॥ Maili Chadar Odh Ke.. ॥

Tu Hai Aparampar Dayalu,
Sara Jagat Sambhale,
Jaisa Bhi Hun Main Hun Tera,
Apani Sharan Lagale ।
Chhod Ke Tera Dwara Data,
Aur Kahin Nahin Jaun

Maili Chadar Odh Ke Kaise,
Dwar Tumhare Aun,
Hai Pavan Parmeshwar Mere,
Man Hi Man Sharmaun ।

मैली चादर ओढ़ के कैसे - भजन हिन्दी में पढ़ें

मैली चादर ओढ़ के कैसे, द्वार तुम्हारे आऊँ, हे पावन परमेश्वर मेरे, मन ही मन शरमाऊँ...
Read Also

Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanRam BhajanShri Ram BhajanSant Ravidas BhajanShakti Singh Bhajan

Other Popular Maili Chadar Odh Ke Kaise Video

Hari Om Sharan

Anup Jalota

Sarojini Ghosh

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Sada Suhagan Nari Ka Ye Vrat Hai Bada Mahan

Sada Suhagan Naari Ka Yeh Vrat Hai Bada Mahan, Is Vrat Se Hi Pati Vrata Naari Ki Hai Pahchan, Karva Chauth Karva Chauth...

Namami Radhe Namami Krishnam

He Bhaktavrndon Ke Pran Pyare, Namami Radhe Namami Krishnam, Tumhi Ho Mata Pita Hamare...

Darsh Kara De Mere Sanware Mhare Naina Huye Baware

Darsh Kara De Mere Sanware, Mhare Naina Hue Baware, Thara Kuch Bhi Na Lage, Thaare Bin Ji Na Lage, Darsh Kara De Mere Sanware, Mhare Naina Hue Baware ॥

Mahima Kahi Na Jaye Baba Shyam Ki

Mahima Kahi Na Jaye, Baba Shyam Ki, Yaad Ghaneri Aaye, Khatu Dham Ki..

Murli Wale Ne Gher Layi

Murli Wale Ne Gher Layi Akeli Paniya Gayi ॥ Mai to Gayi Thi Yamuna Tat Pe

Dena Ho To Dijiye Janam Janam Ka Sath

Dena Ho to Dijiye Janam Janam Ka Sath । Ab to Kripa Kar Dijiye, Janam Janam Ka Sath ।

Door Nagari Badi Door Nagri

Badi Door Nagri, Kaise Aaoon Main Kanhai, Teri Gokul Nagri

Durga Chalisa - Durga Chalisa
Shri Krishna Bhajan - Shri Krishna Bhajan
Bhakti Bharat APP