Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Mujhe Charno Me Dedo Sthan Ji (राम भजन - मुझे चरणों में देदो स्थान जी)


Mujhe Charno Me Dedo Sthan Ji
Mujhe Charnon Mein Dedo Sthan Ji,
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji
Mujhe Charnon Mein Dedo Sthan Ji,
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji
Apne Hathon Mein Lelo Kaman Ji
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji
Mujhe Charnon Mein Dedo Sthan Ji,
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji

Jab Se Vash Mein Hua Dhan Ke
Dharm Ke Path Se Door Hua
Sukh Chain Na Raha Man Ka
Daas Tan Ka Banke Rah Gaya

Jab Se Vash Mein Hua Dhan Ke
Dharm Ke Path Se Door Hua
Sukh Chain Na Raha Man Ka
Daas Tan Ka Banke Rah Gaya

Chur Kardo Mera Ye Abhiman Ji,
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji
Bhakti Ka Dedo Tum Vardaan Ji,
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji
Mujhe Charnon Mein Dedo Sthan Ji,
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji

Siya Ram, Siya Ram
Siya Ram, Siya Ram
Siya Ram, Siya Ram
Siya Ram, Siya Ram

Prabhu Ki Seva Ke Liye Hi,
Jeevan Durlabh Mujhe Ye Mila
Magar Jab Bhi Mila Mauka Mujhe,
Talta Main Kal Pe Rah Gaya

Prabhu Ki Seva Ke Liye Hi,
Jeevan Durlabh Mujhe Ye Mila
Magar Jab Bhi Mila Mauka Mujhe,
Talta Main Kal Pe Rah Gaya

Kshama Ka Mujhko Dedo Daan Ji,
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji
Daas Aapke Na Aaya Kuchh Kaam Ji,
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji
Mujhe Charnon Mein Dedo Sthan Ji,
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji

Nirdosh Main Nahin Sach Hai,
Bahta Hi Chala Gaya Sansar Mein
Na Liya Sahara Guru Ka,
Phans Gaya Maya Ke Janjaal Mein

Nirdosh Main Nahin Sach Hai,
Bahta Hi Chala Gaya Sansar Mein
Na Liya Sahara Guru Ka,
Phans Gaya Maya Ke Janjaal Mein
Jaan Ke Bhi Tha Main Anjaan Ji,
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji
in Hathon Ko Ab Lo Thaam Ji,
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji
Mujhe Charnon Mein Dedo Sthan Ji,
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji

Apne Hathon Mein Lelo Kaman Ji
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji
Mujhe Charnon Mein Dedo Sthan Ji,
Mere Ram Ji, Mere Ram Ji

Siya Ram, Siya Ram
Siya Ram, Siya Ram
Siya Ram, Siya Ram
Siya Ram, Siya Ram

राम भजन - मुझे चरणों में देदो स्थान जी हिन्दी में पढ़ें

मुझे चरणों में देदो स्थान जी, मेरे राम जी, मेरे राम जी, अपने हाथों में लेलो कमान जी..
Read Also

Bhajan Ayodhya BhajanDiwali BhajanRam Mandir BhajanShri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanISKCON BhajanMadhavas Rock Band Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Narayani Sharanam

Maan Se Bhakti Hai, Maan Se Shakti Hai, Maan Se Mukti Hai, Karta Jo Maan Ka Sumiran...

Maiya Tere Bhakto Ko Tera Hi Sahara Hai

Maiya Tere Bhakto Ko, Tera Hi Sahara Hai, Tere Bina Is Jag Mein, Koi Na Hamara Hai, Maiya Tere Bhakto Ko, Tera Hi Sahara Hai ॥

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Bhajan: Ganga Behti Ho Kiyon

Kare Hahakar, Nihshabd Sada O Ganga Tum, Ganga Bahati Ho Kyun?

Chalo Man Ganga Yamuna Teer

Ganga Jamuna Nirmal Paani, Sheetal Hot Sharir, Chalo Man Ganga Jamuna Teer...

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP