Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Hota Hai Sare Vishwa Ka Kalyan Yajya Se (होता है सारे विश्व का, कल्याण यज्ञ से - भजन)


Hota Hai Sare Vishwa Ka Kalyan Yajya Se
Hota Hai Sare Vishwa Ka, Kalyan Yajna Se ।
Jaldi Prasann Hote Hain, Bhagwan Yajna Se ॥
Rshiyon Ne Uncha Mana Hai, Sthan Yajna Ka ।
Bhagwan Ka Yah Yajna Hai, Bhagwan Yajna Ka ।
Jata Hai Devlok Mein, Insan Yajna Se ॥
॥ Hota Hai Sare Vishwa Ka… ॥

Jo Kuchh Bhi Dalo Yajna Mein, Khate Hain Agnidev ।
Ek-ek Ke Badle Sau-sau, Dilate Hain Agnidev ।
Paida Anaj Karte Hain, Bhagwan Yajna Se ॥
॥ Hota Hai Sare Vishwa Ka… ॥

Hota Hai Kanyadan Bhi, Iske Hi Samne ।
Pooja Hai Isko Krishn Ne, Bhagwan Ram Ne ।
Milti Hai Rajkeerti Va Santan Yajna Se ॥
॥ Hota Hai Sare Vishwa Ka… ॥

Iska Pujari Koi, Parajit Nahin Hota ।
Iske Pujari Ko Koi Bhi, Bhay Nahin Hota ।
Hoti Hai Sari Mushkilen, Aasan Yajna Se ॥
॥ Hota Hai Sare Vishwa Ka… ॥

Chahe Ameer Ho Koi, Chaahe Garib Hai ।
Jo Nity Yajna Karta Hai, Wah Khush Naseeb Hai ।
Upkari Manuj Banta Hai, Devyajna Se ॥
॥ Hota Hai Sare Vishwa Ka… ॥

॥ Muktak ॥
Yajna Pita Hain Sur-sanskrti Ke, Yajna Srshtii Ke Nirmata Hain ।
Isilie Har Sanskar Mein, Aavashyak Samjha Jata Hai ॥
Devshaktiyan Yagydev, Dwara Hi to Prasann Hoti Hain ।
Jeevan, Pran, Dhaany, Samrddhi, Yash, Vaibhav ‘Hota’ Pata Hai ॥

होता है सारे विश्व का, कल्याण यज्ञ से - भजन हिन्दी में पढ़ें

होता है सारे विश्व का, कल्याण यज्ञ से। जल्दी प्रसन्न होते हैं, भगवान् यज्ञ से..
Read Also

Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya BhajanYagya BhajanYagya Vandana Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Meri Binti Yahi Hai Radha Rani

Meri Binti Yahi Hai Radha Rani, Kripa Barsae Rakhna

Jambheshwar Aarti Om Shabd Sohan Dhyave

Om Shabd Soham Dhyave, Swami Shabd Sohan Dhyave । Dhup Deep Le Aarti, Nij Hari Gun Gave | Mandir Mukut Trishul Dhwaja, Dharmon Ki Ph Harave

Mhane Jambhoji Diyo Upadesh

Mhane Jambhoji Diyo Updesh, Bhag Mharo Jagiyo | Marudhar Desh Samarathal Bhumi,
Guruji Diyo Updesh

Mithe Ras Se Bharyo Ri Radha Rani Lage

Mithe Ras Se Bhariyo Ri, Radha Rani Lage, Maharani Lage..

Radhe Radhe Japo Chale Aayenge Bihari

Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Rato Chale Ayenge Bihari, Ayenge Bihari Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari ॥

Mere O Sanware Tune Kya Kya Nahi Kiya

Mere O Sanware, Tune Kya Kya Nahin Kiya, Jab Laga Main Gira, Thaama Tune Liya, Phir Dobara Na Girne Diya, Mere O Sanware, Tune Kya Kya Nahin Kiya ॥

Tune Sir Pe Dhara Jo Mere Hath Ke Ab Tera Sath Nahi Chute

Tune Sir Pe Dhara Jo Mere Hath, Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute, Mera Tum Pe Rahe Vishwas, Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute, Tune Sar Pe Dhara Jo Mere Hath, Ke Ab Tera Sath Nahin Chhute ॥

Ram Bhajan - Ram Bhajan
Shri Krishna Bhajan - Shri Krishna Bhajan
Bhakti Bharat APP