Trishul Hai Hathon Mein,
Aur Khadag Ko Dhara Hai,
Tumhare Charnon Mein,
Maiya Naman Hamara Hai,
Maan Ashtbhuji Tumne,
Sansar Ko Taara Hai,
Tumhare Charno Mein,
Maiya Naman Hamara Hai ॥
Mahishasur Papi Pe,
Trishul Prahar Kiya,
Trishul Prahar Kiya,
Ik Baar Mein Paapi Ka,
Tumne Sanhar Kiya,
Paapon Se Dharti Ka,
Tumne Bojh Utara Hai,
Tumhare Charno Mein,
Maiya Naman Hamara Hai ॥
Jab Chand Mund Papiyon Ne,
Tha Swarg Ko Jeet Liya,
Tha Swarg Ko Jeet Liya,
Aur Shumbh Nishumbh Ne Jab,
Devon Ko Adheen Kiya,
Mahakali Ke Tumne,
Maan Roop Ko Dhara Hai,
Tumhare Charno Mein,
Maiya Naman Hamara Hai ॥
Dhyanu Ke Kate Sir Ko,
Jwala Ban Jod Diya,
Jwala Ban Jod Diya,
Shri Dhar Ke Bhandare Ko,
Vaishno Ban Purn Kiya,
Taara Rukman Ko,
Tumne Paar Utara Hai,
Tumhare Charno Mein,
Maiya Naman Hamara Hai ॥
Main Jab Bhi Pukarun Maan,
Tum Sinh Sawar Aana,
Tum Sinh Sawar Aana,
‘Chandan’ Ke Dukhde Ko,
Maiya Tum Mita Jana,
Tere Bhakton Ko,
Tera Hi Sahara Hai,
Tumhare Charno Mein,
Maiya Naman Hamara Hai ॥
Trishul Hai Hathon Mein,
Aur Khadag Ko Dhara Hai,
Tumhare Charnon Mein,
Maiya Naman Hamara Hai,
Maan Ashtbhuji Tumne,
Sansar Ko Taara Hai,
Tumhare Charno Mein,
Maiya Naman Hamara Hai ॥
दुर्गा चालीसा |
आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी |
आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली |
महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् |
माता के भजनIf you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future

* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!